Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti

Zara sa dil to dukhta he magar shidat nahiN hoti

Bohat khud ko jalata hooN ye barsoN ki riazat he

Mire andar ki lekin door ye zulmat nahiN hoti

Ye dukh he ke kisi ne bhi hamiN dil se nahiN chaha

Zara sa piyar mil jata to ye halat nahiN hoti

Zamin-o-aasmaaN maiN ik tauluk to he sadyooN se

magar peda kahiN bhi rabt ki soorat nahiN hoti

Ajab hi falsfa he ye ameeri aur gharibi ka

ke umraiN sarf ho jati haiN kam ghurbat nahiN hoti

Bohat se khoob chehray haiN bohat si dilruba nazraiN

Tire hone se hoti thi jo kefi^at nahiN hoti

Hawala jab talak tera na aa jaye kahiN in maiN

mire sheroN maiN peda tab talak jiddat nahiN hoti

Tire gumnaam mer janay maiN kya buraie he

ke her insaan ki kismat maiN to shohrat nahiN hot