Teri tarah tera gaaon bhi khubsurat hai

Tujh ko main dekhun ya dekhun tere gaaon ko

Paaon mein teri payal bhi khubsurat hai

Payal ko dekhun ya dekhun tere gaaon ko

Patli kaalai mein hain sat-rangi churiyaan

Dekh k baahein teri jhumti hain dhaliyaan

Teri goori baahein mere dil ko lubaati hain

Churiyon ki chan chan pyar jagati hain

Churiyon ko dekhun ya dekhun teri baahon ko

Teri tarah tera gaaon bhi khubsurat hai

Tu jo lab khole to phool baraste hain

Tujhe dekhene k liye sawan taraste hain

Zulaf teri mujhe lage zanjeer si

Peeplon ki chaaon main tu lagti hai heer si

Zulfon ko dekhun ya peeplon ki chaaon ko

Teri tarah tera gaaon bhi khubsurat hai

Chand tera aayena bahaar tera gehna

Chandni bhi chahati hai tere sang rehna

Tere hi aasharon pe chalta hai mosam

Teri thandi aahein jese gaaye koi sargam

Mosam ko dekhun ya teri thandi aahoon ko

Teri tarah tera gaaon bhi khubsurat hai

.