Kai Saal Guzray

Kai Saal Beetay

Shab-o-Roz ke Gardishon ka Tasalsul

Dil-o-Jaan Main Sansoon Ki Pertien Ulat’tay Howay

Zalzaloon ke tarhaa Hanpta hai

Chatakhtay Hue Khwaab

Ankhon ke Nazuk Ragain Cheeltay hain

Mager Main Her Ik Saal ki Gowd mai Jagti Subha ko

Be-Karan Chahatoon say Say Ati ZIndagi ke Dua Day ker

Ab Tak Wohi Justuju ka Safar Ker raha hoon

Guzzerta Hua Saal Jaisa bhe Guzra

Magar Saal k Akhri DinNehayat Kathin hain

Meray Milnay Waloo

Naye Saal ki Muskurati hoi Subho ger Hath Aye

Toa Milna

k Jatay Hue Saal ke Sa’atoon main

Yeh Bujhta Hua DilDharakta toa hai ….

Muskurata nahi…!

Decemer Mujhay Raas Ata Nahi

Haan……

Ik December Mughay Raas Ata nahi…