Zikr-e-shab-e-firaaq se vehshat use bhii thii

Mayri tarha kisi se muhabbat use bhii thii

Mujh ko bhii shouq thaa naye chehroon kii deeed kaa

Rastaa badal ke chalne kii aadat use bhii thii

Us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu

Masruuf main bhii kum thaa faraagat use bhii thii

Sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaan

Taazaa rafaaqatoon kii zaruurat use bhii thii

Mujh se bichhar ke shahar main ghul mil gayaa vo shakhs

Haalaan ke shahar bhar se raqabat use bhii thii

Wo mujh se barh k zabt kaa aadii thaa jii gayaa

Varnaa har ek saans qayaamat use bhii thii