ye bhii kyaa shaam-e-mulaaqaat aai

lab pe mushkil se terii baat aai

subah se chup hain tere hijr nasib

haaye kyaa hogaa agar raat aai

bastiyan chhor ke barse baadal

kis qayaamat kii ye barasaat aai

koi jab mil ke hua tha rukhsat

dil-e-betaab wohi raat aai

saaya-e-zulf-e-butaan main ‘Nasir’

ek se ek nai raat aa