Vo apnay payman rafaqaton kay mohabaton kay

Shikast kar kay

Na jaanay ab kiss key rehguzar ka minara roshni hu’ay hain

Magar musafir koe kya khabar hay

Vo chand chehra toe bujh gaya hay

Sitara ankhain toe so ga’eey hain

Vo zulfain bay sayaah ho ga’eey hain

Vo roshni or voh saa’ye meree ata thay

So mere raahon main aaj bhee hain

ke main musafir ra-hey vafaa ka

Vo chand chehra, sitara ankhain

Vo meharbaan sayadaar zulfain

Hazaaron chehron hazaaron ankhain

Hazaaron zulfon ka aik selaab-e-tund lay kar

mere ta’aqub main Aa-ra-hey hain

Her aik chehra hay chand chehra

Hain saary ankhain sitara ankhain

Tamaam hain

Meharbaan saayah daar zulfain

Main kiss ko chahoon, main kiss ko choomon

Main kiss kay saa’ye main bait jaaon

bachoon ke toofan main doob jaaon

Ke mera chehra, na mere ankhain

Mera Khudaya! main zindagi kay azaab likhoon ke

khawab likhoon…