Pehle Baar Gunah E Maikashi Kya Mein Ne
Ley Ke Khuda Ka Naam Ji Bhar Pya Mein Ne
Daur Pe Daur Chalta Gaya Saaqi Mera Ehsaan Karta Gaya
Nigahon Se Masti Tapaknae Lagee Khumar Barhta Gaya
Hosh Urtae Rahae Nasha Charhta Gaya
Koshish Tou Bauhat Kee Daaman E Dil Talak Na Aan Pohanche
Kuch Bass Na Chala Shola E Ishq Bharakta Gaya
Qadam Dagmagate Rahe Dil E Beiman Dharakta Gaya
Kyun Khafa Hota Hai Eiy Waiz Mujhse
Bakhuda Maikadae Ka Rukh Nahi Kya Mei Ne
Qasam Saaqi Ki Koi Gunah Nahi Kiya Mein Ne
Kamzarf Honge Woh Jo Maikhanae Ka Rukh Karain
Nadaan Hein Woh Jo Bezaroorat Paimana Bharain
Kaafir Kaho Unhen Jo Yun Nashaa Karain
Uskee Ankhkon Se Pee Meree Khata Yehee Hei
Umr Bhar Hosh Na Ayae Meri Sazah Yehee Hei
Maikada Jinko Azeez Woh Shouq Se Wahan Ka Rukh Karen
Mere Lye Kya Kamee Mujhe Mayasar Un Mast Ankhon Ke Jam
Na Rahee Aarzu Saagar O Meena Kee Jab Se Hoay Woh Paimanae Mere Naam
Saalaamaat Rahae Saaqi Mera Us Nasheele Nigaah Ko Mera Salaam