Gham-E-Zindagi Teri Raah Me
Shab-E-Aarzoo Teri Chah Me
Jo Ujad Gaya Vo Basa Nhi
Jo Bichad Gaya Vo Mila Nhi
Jo Dil-O-Nazar Ka Suroor Tha
Mere Paas Rehkar Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulab Ummid Ka
Meri Aarzoo Me Khila Nhi
Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai
Us Par Mujhe Gumaan Hai Bada
Use Manzilo Ki Khabar Nhi
Mujhe Raasto Ka Pata Nhi
Iss Zindagi Ki Daud Me Haara Hu To Bas Isliye
Ki Kadam To Sab Se Mila Liye
Bas Dil Kisi Se Mila Nhi…
– Avdhesh Tyagi