tu rahe teri aarzoo rahe

meiN rahooN teri justajoo rahe

tere jaur-o-sitam pe khamosh hooN

kuch to ishq ki aabroo rahe

inaayat itni kar mere maalik muj pe

uske kadam ho jahaaN mera moo rahe

kyooNkar jaooN kaab’taiN ko meiN

khuda wahaaN hai jahaaN too rahe

bastiyaaN chaahe jitni ujad jaayeN

roshan yuN hi tera kHub-roo rahe

muraad itni si bas hai agar samjho

meiN tuj meiN muj meiN too rahe

jo ‘Muztar’ mar gayaA to kya hua

tere nisaaroN ki bheed chaar-soo r