Sabz Mudham Roshni Mein Surkh Aanchal Ki Dhanak,

Sard Kamre Mein Machalti Garm Sanson Ki Mehak,

Bazuon K Sakht Halke Mein Koi Nazuk Badan,

Silvatein Malboos Per Aanchal Bi Kuch Dhalka Howa,

Garm-e-Rukhsar Se Dehki Hoi Thandi Hawa,

Narm Zulfon Se Mulayam Ungliyon Ki Chaair Chaar,

Surkh Honton Per Shararat K Kisi Lamhe Ka Aqs,

Reshmi Banhon Mein Chori Ki Kabi Madhum Khanak,

Sharmagi Lehjon Mein Dheere Se Kabi Chahat Ki Baat,

Do Dilon Ki Dharkanon Mein Goonjti Thi Ik Sada

Kanpte Honton Pe Thi *ALLAH* Se Sirf Ik Sada.

‘KAASH YE LAMHE’

THEHER JAIEN

THEHER JAIEN

‘ZARA’

.

.

~NoT_OkaY~/