– Urdu Poetry
Dosti jab kisi se ki jaaye
Dushmanon ki bhi raaye li jaaye
Maut ka zehar hai fizaaon ma
Ab kahaan ja ke saans li jaaye
Bas isi soch ma hoon dooba hua
Ye nadi kaise paar ki jaaye
Mere maazi ke zakhm bharne lage
Aj phir koi bhool ki jaaye
Botalein khol ke to pi barson
Aj dil khol ke bhi pi jaaye
Rahat Indori

=========
aa.Nkh pyaasii hai ko_ii manzar de
aa.Nkh pyaasii hai ko_ii manzar de
is jaziire ko bhii samandar de

apanaa cheharaa talaash karanaa hai
gar nahii.n aa_inaa to patthar de

band kaliyo.n ko chaahiye shabanam
in chiraaGo.n me.n roshanii bhar de

pattharo.n ke saro.n se karz utaar
is sadii ko ko_ii payambar de

kah_kaho.n me.n guzar rahii hai hayaat
ab kisii din udaas bhii kar de

phir na kahanaa ke Khud_Khushii hai gunaah
aaj fursat hai faisalaa kar de
==========

===========

===============
femous gazal of rahat indori

==========
Rahat indori ki shayari
Kabhi akaile ma mil kar jhanjhoR doon ga usse
Jahan jahan se wo toota hai joR doon ga usse
Mujhe choR gaya ye kamaal hai us ka
Iraada ma ne kiya tha ke choR doon ga usse
Paseene baant’ta phirta hai har taraf sooraj
Kabhi jo haath laga to nichoR doon ga usse
Maza chakha ke hi maana hoon ma bhi dunya ko
Samajh rahi thi ke aise hi choR doon ga usse
Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujh se shseesha badan
Usse ye dar hai ke toR phoR doon ga usse
Rahat Indori
 
Rahat indori in Best sher in friendship