Saaz-e-dil

Ik jabar hay ab ehsaas-e-wafa bhe, ye dil me bansana theek nahi
ab saaz-e-dil afsurda per, is geet ko gana theek nahi
Tum bhool chukay ye sub behtar, Tum chor chaly ye aur Achaa
khowabon mein magar majboron ke, ye aana jana theek nahi
Keh do k nahi hum mil saktay, keh do k koe majbori hay
laikin ye labon tak la la kar, baaton ko chupana theek nahi
Ay shooq-e-juno ab baaz bhe aa, kuch maan bhe lay tu mera kaha
jo jaan k bhe anjaan bane, gham usko sunana theek nahi
ab chor bhe do deewana pan, ab bhool bhe jao maazi ko
ay shams ye pal pal khilwat me, ashkon ka bahana theek nahi.