Rag-e-jaan

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan, jaanaan
Yaad kya tujh ko dilaayain tera paimaan, jaanaan
Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaatay hain insaan, jaanaan
Zindagi teri ataa thee tu tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan, jaanaan
Dil yeh kehta hai ke shayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karain dil tu nadaan, jaanaan
Awwal-awwal ki muhabbat ke nashay yaad tu kar
Be-peyey bhi tera chehra thaa gulistaan, jaanaan
Aakhir-aakhir tu yeh aalam hai ke ab hosh nahee
rag-e-meena sulag utthi ke rag-e-jaan, jaanaan
Muddattoon se yehi aalam na tawaqoo na umeed
Dil pukaare hi chala jaata hai janaan, jaanaan