Kya kya hamare khawb they, jane kahan pe kho gaye,
Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye,
Jane woh kyon they, Kaun they? aaye they kis liye yahan,
Woh jo fashaar-e-waqt mein, Bojh sa aik ddho gaye,
Us ki nazar ne yoon kiya gard-e-malal-e-jaan ko saaf,
Abar baras ke jis tarah, Saarey chaman ko dho gaye,
Katne se aur barhti hai uthey huye sarun ki fassal,
Apne lahu se ahl-e-dil, Beej yeh kese bo gaye,
Jin ke bagher ik pal, Jeena bhi muhaal tha,
Shaklain bhi un ki bujh gayin, Naam bi un ke kho gaye,
Ankhon mein bhar ke rut jage, Raston ko de ke duriyan,
Amjad woh apne hamsafar, Kese mazey se so gaye..