Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin
Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin
jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
per par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin
Khushk tahani par parinda hai ki patta hai Adeem
ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin
jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain Adeem
itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin