Be-Hadd Shour Machati hai

Main Aksar Us Se Kehta Hoon,
“Tum Be Hadd Shour Machati Ho”
Phir wo mujhse kehti hai,
“Jb pyar se mujhe bulao ge,
Tab dour k me to aaongi,
Tab payal meri chanke gi,
“Payal ka shour to hoga hi”
“Jab meri kalaai pakro ge,
To choori meri khanke gi,
Choori k youn khankne pe
Choori ka shour to hoga hi”
“Jb bindiya meri chamke gi,
Aankho me tumhari damke gi,
Tab jazbe shour machaein ge,
Jazbon ka shour to hoga hi”
“Mere jhumke se jab khelo ge,
Wo gaal ko mere choome ga,
Be chain se tum ho jao ge,
Ik lehar uthe gi seene me,
Is lehar ka shour to hoga hi”
“Meri zulfon ko suljhate howe,
Mere gajre ko bikhrao ge,
Tab sansein tumhari mehkein gi,
Sanson ka shour to hoga hi”
“Jb paas mere tum aao ge,
Ik barq si tann me dore gi,
Mann behka sa hojae ga,
Har dharkan shour machae gi,
Dharkan ka shour to hoga hi !”