Tujh ko teri nazroun main hi gira

Tujh ko teri nazroun main hi gira doun mai

Youn hi sochta hoon main aksar
Tujhey kis tarhaan saza doun main
Teri arzoo karun aur phir
tera khayal tak bhulla doun main
Tujh ko khuwaboun main apney bula kar
apni raatein sabhi jala doun main
Teri manzil ko guloun sey saja kar
rah main kaantey bicha doun main
Ya teri zeest ka har ik pehloo
bhooli hui dastaan bana doun main
Tu jo chahey ussey main pa loun
tu jo paa ley ussey mita doun main
Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key
tujh ko teri nazroun main hi gira doun main……!

Leave a Reply