Samjh Sakti Hun Main Woh Din Kitna Khaas Hoga,
Jab Kuch Lamhon Ke Intzaar Ke Baad Ek Kali Ki Tarah
Main Tumhare Dono Hathon Mein Puri Simat Gayi Hungi
Dekhkar Meri Nanhi Nanhi Aankhein Roshni Ki Tarah
Tumahri Aankhon Mein Bhi Chaamak Bhar Gayi Hogi
Phir Apni Chamakati Aankhon Mein Khawab Lekar
Pyaar Se Tumne Mere Mathe Ko Chuma Hoga
Tab Tumhe Khud Pe Hi Bhaut Gurur Hua Hoga
Jab Maine Tumhe Pheli Baar Maa Kha Hoga
Naye Khawabon Ki Nayi Manzil Saamne Dekh
Tumne Hath Pakad Kar Mujhe Chalna Sikhaya Hoga
Mujhe Baar Baar Girte Dekh,
Tumhara Dil Bhi Darr Se Kapkapaya Hoga
Aur Apne Pyaar Bhare Aanchal Mein Chupa Kar
Kai Zakhmaon Se Mujhe Bachaya Hoga
Phir Dheere Dheere Chadi Maine Apni Manzilon Ki Sidayan
Aur Duniya Ki Bheed Mein Tera Hath Mujhse Kahin Chut Gaya
Tune Phir Bhi Thaam Kar Sambhalna Sikhaya Mujhe
Apni Sikhon Se Duniyadari Ki Achi Buri Baatein Bataya Mujhe
Par Maine Hamesha Hi Apni Zidd Se Thukaraya Use
Meri Zidd Ke Aage Tumne Apne Dil Pe Pathar Rakha Hoga
Par Aaj Mujhe Yakin Ho Chala Hai Ki Maa Tum Sahi Thi
Aur Ab Main Ek Baar Phir-
Wapis Tumhare Dono Hathon Mein Simtana Chahti Hun
Tumhare Pyaare Aanchal Mein Phir Se Chipna Chahti Hun
Tumhare Haathon Ke Sahare Ek Baar Phir Se Apne
Dagmaagte Hue Kadmaon Ko Sambhalana Chahti Hun
Maa Chupo Lo Na Mujhe Apne Mein Hi Kahin