Saare Jahaan Se Achcha Hindostaan Hamara
Ham Hi Nahi The Layaq Isko Nahi Sambhala
Dekar Lahu Ki Boonden Lakhon Sipahiyon Ne
Kitna Lahu Bahaya Bahano Ke Bhaiyon Ne
Har Ik Sitam Saha Bas Is Mulk Ko Bachaya
Hamse Anadiyon Ne Us Khoon Ko Lajaya
Ham Ne Padhi Kitaben Azadiyon Ki Jung Par
Bas Yaad Karke Usko Parchon Me Likh Diya Hai
Aur Paas Jab Hue Ham Bas Usko Hai Bhulaya
Kitane Hain Ham Me Aise Jisane Hai Yaad Rakha
Har Roz Ek Bhi Pal Kabhi Desh Ke Kaam Aaya
Ham Likh Rahen Yunhi Bas Panne Bhar Rahen Hain
Kya Ham Ne Kabhi Socha Ham Kuch To Kar Hi Paaen
Is Desh Me Hain Jeete Kabhi Iske Kaam Aaen
Ye Nahi Zaroori Koi Har Ek Ho Sipahi
Ham Hain Jahaan Vahin Se Kar Sakte Hain Ladai
Sari Buraiyan Bas Dushman Bane Hamari
Ham Ik Sipahi Ban Ke Jad Se Unhe Mitaen
Kabhi Ek Roz Ko Hi Is Desh Ke Kaam Aaen
Tabhi Ham Bhi Gaa Sakenge Vo Tarana Sabse Pyara
Ham Bulbulen Hain Isaki Ye Gul Sitan
Hamara………………………..