Kya Karna Pardes Jaa Ker Yaaron,
Pardes Mein Apnapan Milta Kahan Hai,
Saari Duniya Se Pyara Hai Des Mera,
Jahan Mein Mere Des Sa Koi Des Kahan Hai…

Kuch Ko Paagal Kiya Hai,
Pound Ki Chamak Ne,
Kuch Bhool Gaye Sab Kuch
Dollar Ki Khanak Mein…
Na Jaane Kyun Sab,
Pardes Jaane Ke Deewane Hain,
Per Yeh Bhi Sach Hai Ki,
Door Ke Dhol Lagte Suhane Hain…
Kuch To Beich Ker Sab Kuch,
Pardes Ko Chale Jaate Hain,
Khulti Hai Jab Haqeeqat Wahan Ki To,
Phir Apni Galti Per Pachtaate Hain…
Sach To Yeh Hai Doston,
Ki Dollars Bhi Kamaane Assan Nahi,
Bahut Karni Padti Hai Mehnat, Koi
Pardes Mein Milti Sone Ki Khaan Nahi…
Pardes Mein Paisa To Bahut Hai,
Bas Rishtey Hi Wahan Kamm Hain,
Wahan Jeete Hain Sab Khud Ke Liye,
Bas Jas Ko Issi Baat Ka Gumm Hai…
Yeh Soch Hai Sirf Meri Apni Yaaron,
Kya Karein Ki Soch Sabki Ek Si Hoti Nahi,
Gar Paisa Zaroori Hai Pait Bharne Ke Liye,
To Kya Apne Des Mein Milti Roti Nahi?
Mein Nahi Kehta Ki,
Pardes Jaana Sahi Nahi,
Per Apne Des Si Azaadi,
Bhi Duniya Mein Kahin Nahi…
Mein Kissi Ka Dil Todna Nahi Chahta,
Bas Mera Maksad To Itna Samjhana Hai,
Kissi Ek Ke Bas Ka Nahi Yaaron,Hum Sabko
Milker Ise Sone Ki Chidiya Banana Hai…