Kabhie Raat Ke Sannate Mein Neeravtaa Mein
Kahin Door Bajtaa Halka Sa Sangeet
Door Jungle Mein Kahin Jaltee Hui Aag
Or Uske Chaaron Taraf Naachte Huey Log
Aisa Nazaara Kahin Bhee Nazar Aata Hain
To Main Apne Ko Bahut Tanhaa Mehssos Kartaa Hun
Lekin Usee Sangeet Kee Dhun Par Mere Kadam
Usee Lay Par Khud-Ba-Khud Taal Dene Lagte Hain
Door Jaltee Hui Aag Dil Ko Thodi See Garmaahat
Ka Ehsaas Detee Hai Or Naachte Gaate Logon Kee
Hansee Dil Mein Raunaq Bhar Deti Hai
Mujhe Kutchh Aisa Lagta Hain
Ke Main Akela Nahin Hun
Mere Shaat Mera Ateet Hain
Pal Hain Joo Ek Dusre Mein
Samaahit Ho Kar Kal Se Aaj Ho Gayen Hain
Mere Dard Ke Bikhre Hue Tukde Hain
Jo Kabhie Kabhie Chubhan Ka Ehsaas Dete Hain
Kutchh Hansee Ke Mukhar Swar Hain
Jo Honthon Par Muskuraahat Le Aate Hain
Kutchh Sapney Hain Jinko Main Jaagte Huey
Dekhtaa Hun Jinme Jeetaa Hun
Aur Apneaap Ko Samay Aur Dooree Kee
Had Se Baahar Laa Kar
Kutchh Lamhon Ke Liye Hee Sahee
Tumhaare Kareeb Le Aate Hain
Main Jaanta Hun Tum
Hardam Mere Paas Hee Rehtee Hun