Har Baam Pe Roshan Qafila -—e-Chiragh
Har Badan Pe Chamakte Keemti Libaas
Har Rukh Pe Tabassum Ki Damkti Lahar
Lagti Hai Shab Bhi Aaj Ho Jaise Ek Sahar
Maahaul Khushnuma Hai Yaa Khuda Is Kadar
Deekhta Hai Kabhi Kabhi Easa Benazeer Manzar
Main Sochta Chal Raha Hoon Apne Ghar Ki Aur
Kahan Chali Gai Taariqiyaan,Kahan Bebsi-O-Zor
Kahan Saaye Gham Kho Gaye Kahan Nighaah Se Aab
Kahan Khamoshiyaan Labon Ki ,Kahan Aahon Ka Shor
Poora Shahar Kis Tarah Jhilmila Raha Hai
Zarra Zarra Basti Ka Nazm Gaa Raha Hai
Dooba Isi Khyaal Me Jab Main Apna Ghar
Kholta Hoon To Dikhti Hain Khamoshiyaan,Tanhaaiyaan
Poore Shahar Ki Teerghi Poore Shahar Ka Dard
Poore Shahar Ki Bebsi Aura Ah Ki Parchaaiyaan.