Dur Duniyaa Main Ek Khidaki Se
Dekh Kar Chaand Ki Shakal Koi
Gaa Rahi Hain Meri Ghazal Koi
Koi Gumsum Si Maah Jabeeen Hain Wo
Apani Kasmon Tale Dabi Hain Wo
Jaanati Hain Mujhe Bahut Lekin
Ban Rahi Mujhase Ajanabee Hain Wo
Kaahe Karati Hain Mujhase Chhal Koi
Gaa Rahi Hain Meri Ghazal Koi
Hain Wo Waaqif Meri Tanhaai Se
Mere Ghum Se Meri Sachchaai Se
Shaal Mere Liye Duaaon Ka
Bun Rahi Saans Ki Salaai Se
Aake Baithain Mere Bagal Koi
Gaa Rahi Hain Meri Ghazal Koi
Koi Paati Mujhe Likhain To Wo
Sach Nahin Jhut Hi Likhain To Wo
Main Khudaa Se Bhee Maang Lun Unko
Ek Jhalak Hi Sahi Dikhain To Wo
Kar Ke Dekhain To Kuchh Pahal Koi.
Gaa Rahi Hain Meri Ghazal Koi
Khauf Duniyaa Kaa Is Qadr Kaisaa
Sharm Kaisi Ki Abb Sabr Kaisaa
Jo Haqiqat Hai Woh Kabul Karain
Ishq Main Jurm Kyaa Kufr Kaisaa
Kar De Anjaam Ko Amal Koi
Gaa Rahi Hain Meri Ghazal Koi
Meri Hain, Saath Mere Aayain To
Raah Roshan Meri Banaayain To
Main Zamaane Main Amn Kar Dunga
Haath Meraa Zaraa Bataayain To
Baant Le Mujh Se Meraa Kal Koi
Gaa Rahi Hain Meri Ghazal Koi