Dekha Hai Ajab Chalan Is Samaj Ka
Badle Hai Anek Rup Is Duniya Ke
Per “Naari’ Ke Astitva Per Aaj Bhi Prashnchin Sa Paya Hai
Diya Hai Isi Samaj Ne Kabhi Usko
Akhbaar Ke Pehle Pane Par Samaan,
Per Wahi Pichale Pano Par Uski Izzat Ko Ujarata Paya Hai
Usne Janam Diya Mardo Ko
Aur Unhone Us Ko Bazar Ka Rukh Dikhaya Hai
Kahi Puja Gaya Hai Usko Lakshmi Ke Rup Mein
Wahi Usko Jaanwaro Se Bhi Kam Keemat Main Bikata Hua Paya Hai
Isi Samaaj Ne Di Hai Usko Kokh Mein Kabra
Aaj Bhi Dekha Hai Usko Draupadi Bante Hue
Aaj Bhi Usko Kai Agniparikshaon Se Gujarta Hua Paya Hai
Paida Hote Hi Paala Hai Usko Paraya Jaan Ke
Fir Pati Ke Ghar Mein Bhi Usko’ Paraya Ghar Se Aayi Hai Kehte Paya Hai
Koi Samjha De Mujhko Fir Ek Aurat Ne Kab Sirf Apna Ghar Paya Hai
Sawara Hai Apne Hunar Se, Apne Haseen Jazbaton Se
Usne Har Mukaam Ko
Par Fir Bhi Is Samaaj Ne Uske Hunar Ko Kam
Aur Husan Ko Jayda Ajmaya Hai