Manzil ka kahin naam-o-nishaan nahi

Ab tareeq zindagi main koi armaan nahi

Teri dariya dilli bhi dekhli ai sangdil katil

Masiha banke chhala aur gumaan nahi

Hisaab-e-duniya jab khuda ne poocha mujhse

Sisak ke main saaket rahi koi bayaan nahi

Bujh gaya dil ka deeya saari raat jalte-jalte

Shab-o-sehar ki baatein dil main rahi ayaan nahi

Munh chupa ke kafan main akhri safar par chali

Ai khuda baqsh de tu main nafarmaan nahi

Chund phoolon ki mohtaaj thi meri zindagi

Daman main kaante hi kaante hai gulistaan nahi