Zameen Kahi Per Sukhi Hai Badal Kahi Aur Barsata Hai
Mohbbat Bikhari Hai Duniya Mein
Magar Yeh Dil Fir Bhi Tarasta Hai
Milti Hain Nazare Toh Dil Kyu Dharkata Hai
Woh Naam Lete Hain Wahan Per Hamaara
Aur Dil Yahan Per Dharkata Hai
Kabhi Toh Behegi Ishq Ki Hawa Is Taraf Bhi Thodi
Ab Dekhte Hain Ki Masaum
Ka Mizaaz Kab Fir Se Badalata Hai
Bikheragi Kabhi Mere Andhere Rastao Per Roshni Bhi
Intazaar Hai Us Pal Ka Ki
Yeh Chand Mohbbat Ka Hamaari Duniya Mein Kab Chamakta Hai
Khile Hain Phool Bahaaro Ke Baagbaan Mein Na Jaane Kitne
Ab Dekhna Hai Ki Yeh Ishq Ki
Dastaan Ka Phool Kab Yahan Mehekta Hai
Kab Tak Utha Ke Ghumenge Hum In Benaam Se Rishto Ka Bojh
Kab Talak Koi Aansu Meri In Palko Per Therata Hai
Yun Toh Baaki Hai Abhi Na Jaane
Kai Aise Sawal Mere Khayalo Ki Duniya Mein
Aake Betho Jo Tum Pehlu Mein
Toh Aankho Mein Koi Khawab Utarta Hai