Yun Dost Saarey Apney Apney Rastey Badal Gaey
Kuch Peechey Ruk Gaey To Kuch Aagey Nikal Gaey
Haalat Ki Dhoop Zarra Si Deir Ko Teiz Kya Hui
Jitney Wafaa Ke Peikar They Saarey Pighal Gaey
Waadon Ke Taarey Raaton Sey Baahar Na Ja Sakey
Iraadon Ke Din Nikalney Sey Pehley Hi Dhal Gaey
Wafaaon Ke Rang Shabnam Ke Qatron Ney Dho Deye
Mohabbat Ke Phool Jazbon Ki ‘Shiddat’ Se Jal Gaey
Taanon Ke Teer Duniya Ki Kamaanon Pe Kya Chaahey
Sabar Ke Daaman Hathon Sey Yak’dam Phical Gaey
Aankhein Khulein To Khaabon Ko Bura Laga Magar
Kuch Deir Wo Reh Ke Muztarib Khud Hi Behal Gaey
Pehley Pehal To Ajeeb Lagey Badley Huwey Chehrey
Phir Yun Huwa Ke Waqt Ke Sath Hum Bhi Sambhal Gaey