Tut Te Hue Taare Ko Dekhke Aashiq Ne Mangi Ek Dil Ki Dua
Mere Pyaar Se Karna Na Mujhe Tu Ye Khuda Kabhi Juda
Har Waqt Aankho Me Meri Mere Pyaar Ki Tasveer Rakhna
Tumhari Roshni Bhi Use De Dena Baad Me Tum Fanaa Ho Jaana
Tab Taare Ne Hans Ke Kaha Dost Bahut Kathin Hai Tumhari Dua
Jab Pyaar Ke Rishte Majbut Bante Hai
Tab Khuda Bhi Use Nahi Karta Ek Dusre Se Juda
Jab Koi Apne Pyaar Ko Itna Chahta Hai
To Uski Aankho Me Sada Raheti Hai Tasveer Uske Pyaar Ki
Jiski Aankho Me Hamesha Pyaar Hai Vo Bhi Dusre Ko Pyaar Hi Dete Hai
Meri Roshni Tab Badhi Hai Jab Main Priya Aakash Se Juda Hua Hu
Mujse Bhi Jyada Roshni Paate Hai Vo Jo Pyaar Me Hote Hai Juda
Tu Aur Tera Pyaar Dil Se Kabhi Juda Na Hoge
Tere Jaisa Naseeb Mujhe Bhi Mile Aisi Hai Khuda Se Dua
Main To Kho Jaunga Yaha Se Tut Ke Par
Pyaar Karne Wale Amar Rahenge Sada