Tera Har Bat Par Wo Muskurana Yaad Aata Hai,
Nigahein Pher Kar Dil Ko Jalana Yaad Aata Hai.
Jubaan Se Baat Jo Keh Na Sake Humdono Ab Talak,
Nazaron Se Nazar Ko Wo Sunana Yaad Aata Hai.
Jis Anjaam Ko Pane Ki Tammanna Dono Ne Ki Hai,
Muhabbat Ka Wo Haseen Fasana Yaad Aata Hai.
Larazte Hothon Ki Wo Kampkapana Mere Chune Se,
Dilon Ke Taron Ka Wo Jhanjhanana Yaad Aata Hai.
Kabhi Ladna Jhagadna Phir Ek Duje Mein Kho Jana,
Teri Chahat Bhara‚  Rangeen Zamana Yaad Aata Hai.
Iqrar Tujhko Bhi Hai Muhabbat Ka, Mujhe Bhi Hai,
Magar Phir Bhi Jubaan Se Na Sunana Yaad Aata Hai.
Chandani Raaton Mein Aagosh Mein Bharne Ki Wo Lalak,
Man Hi Man Do Jismon Ka Pighalna Yaad Aata Hai.
Aag Jitni Idhar Hai Utni Tadap Hai Tujko Milne Ki,
Phir Bhi Thandi Aah Bharte Jana Yaad Aata Hai.
Milan Ke Uss Ghadi Ki Chah Tujhmein Bhi Hai Mujhmein Bhi,
Magar Har Bar Dil Ko Samjhana Yaad Aata Hai.
Kyu Rahe Ab Ye Doori Jab Rooh Ek Ho Chuke,
Yuhi Kavitaon Mein Dil Behlana Yaad Aata Hai