Nahi Rehta Koi Iktiyaar Mera Khudpe
Uska Roop Kaam Kuch Aisa kar Jaata Hai
Bhare Jab Bhi Apne Aagosh Main Tuh
Ye Nasamaj Uspe Hi Bikhar Jaata Hai
Nahi Bahaane Deti Mujhe Katra Bhi
Usko Yaad kar Aansu Bhi Tehar Jata Hai
Mera Kamra Bhi Ho Jaise Diwana Uska
Har Taraf Chehra Uska Utar Jaata Hai
Badan Hai Komal Jaise Koi Khilti Kaali
Dekhke Chand Usko Aur Nikhar Jata Hai
Uski Muskurahat Ke Diwaane Hai Panchi
Hassi ke Bina Beet, Unka Pehar Jaata Hai