Nahi Lagta Ab Mujhe
Kabhi Unse Baat Bhi Hogi
Lab Khamosh Hi Rahenge
Jab Kabhi Mulakat Hogi
Usne Badi Asaani Se
Nazrein Pher Li Yaaron
Woh Kya Jaane Unke
Yuh Nazre Pherne Se
In Aankhon Se Kitni Barsaate Hogi
Bade Dilwale Hai Woh Log
Jo Judaai Bhi Has Ke Seh Lete Hai
Par Sochta Hoonkabhi To Dard-E-Judai
Jaan Pe Ban Aati Hogi
Jaanta Hoon Main Ke
Tujhse Bichad Kar Bahut Si Tabdiliyan
Aa Jayegi Zindagi Mein Mere
Par Yeh Baat Sach Hai Ki
Yaad Karke Un Guzre Hue Lamho Ko
Aankhein Ashko Se Bhari Ki Bhari Hogi
Hum Tanhai Mein Baith Ke
Aansuo Ko Chupa Lenge Khwaish
Duniya Ka Kya Hai
Zindagi Ke Daur Mein
Naye Log Honge
Aur Bhi Jashn-E-Mehfile Hogi
Kuch Zakhm Aise Bhi Hote Hai
Jiski Koi Dawaa Nahi Hoti
Varna Aise Hi Nahi Likhne Walo Ke
Kalam Mein Itni Gehraai Hogi