Na Wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho
Jo Khwaab Dene Ko Kadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhee Rakhta Ho
Koi Bhee Ho Kahi Bhee Ho Bas Aisa Ho
Agar Kabhi Ruth Jaun Mein Usse To
Muskrake Manaye Woh Aisa Ho
Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhee Sake
Iradon Mein Woh Apne Chattanon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho
Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chaand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale Buss Humsafar Mera Aisa Ho