Mujhe Likhna Ager Aata To Likhta Teri Ankhon Per
Boht Kuch Likhna Chahoon Mein
Teri Ankhon Ki Palkon Per
Teri Ankhon Ki Shokhi Per
Tere Nainon Kae Kajal Per
Kae Jab Tu Baat Kerti Hai Toe Tere Honton Ki Junmbish Per
Teri Lehrati Zulfon Per
Kae Jab Tu Muskurati Hai To Goya Phool Khiltae Hein
Kae Jab Tu Aankh Uthaati Hai
Toe Dil Ruknae Se Lagtae Hein
Kae Jab Tu Apni Balon Mein Koi Gajra Sajati Hai
Fizayein Gungunati Hein
Mein Apne Dil Kae Jazbon Ko Tumhare Naam Kerta Hoon
Mujhae Likhna Ager Aata Toe Likhta Teri Aankhon Per
Mager Kya Keroon Jaana Mujhae Likhna Nahin Aata.