Kyun Ye Dil-E-Nakaam Kaam Aata Hai
Har Baat Main Tera Hi Naam Aata Hai
Ho Jata Hai Jannat Ka Najara Jaise
Jab Mera Mann Didaar Tera Pata Hai
Nahi Rehta Koi Iktiyaar Mera Khud pe
Vo Kafir Kaam Kuch Aisa Kar Jaata Hai
Bhare Jab Bhi Apne Aagosh Main Tu
Ye Nasa smaj Uspe Hi Bikhar Jaata Hai
Nahi Bahane Deta Mujhe Katra Bhee
Usko Yaad Kar Aansu Bhee Tehar Jata Hai
Mera Kamra Bhee Ho Jaise Diwaana Uska
Har Taraf Chehra Uska Utar Jaata Hai
Badan Hai Komal Jaise Koi Khilti Kaali
Dekhke Chand Usko Aur Nikhar Jata Hai
Uski Muskurahat Ke Diwaane Hai Panchi
Uski Hassi Ke Bina Bit Unka Pehar Jaata Hai