Jab Bhii Udte Panchi Ko Dekhti Ho
To Kya Sochti Ho?
Kii Kash Mere Paas Bhii Par Hote
Udkar Tere Dar Par Hum Chale Aate
Jab Bhii Tum Phoolon Ko Dekhte Ho
To Kya Sochte Ho?
Kii Phool Nahi Khoobsurat Utna
Jitni Kii Mere Sanam Tum Ho
Jab Bhi Behte Jharne Ko Dekhte Ho
To Kya Sochte Ho?
Kii Beh Jaon Mein Bhii Is Kadar
Mil Jaye Tere Pyaar Ka Samandar
Jab Bhii Tum Bijli Chamkti Dekhti Ho
To Kya Sochti Ho?
Ki Kash Tum Mere Kareeb Hote
Aur Mujhe Bahoon Mein Samet Lete
Jab Bhi Tum Barste Paani Ko Dekhte Ho
To Kya Sochte Ho?
Ki Bheegi Bheegi Tum Khadi Ho
Chamkate Hue Payal Muskura Rahi Ho
Jab Bhi Tum Chaand Ko Dekhti Ho
To Kya Sochti Ho?
Kii Chaand Itna Door Kyon Hain
Hum Itne Majboor Kyon Hain
Jab Bhi Tasveer Tum Meri Dekhte Ho
To Kya Sochte Ho?
Ki Nikal Aao Tum Tasveer Se
Aur Jud Jao Meri Taqdeer Se
Jab Bhi Haath Ki Lakeeron Ko Dekhti Ho
To Kya Sochti Ho?
Ki Hoti Ek Lakeer Tumhare Naam Ki
To Saari Khudayi Bhi Juda Na Kar Paati
Jab Bhi Sochte Hain, Khud Se Poochte Hai
Ki Kyon Karte Hain Hum Pyaar Itna
To Dil Jawab Hii Nahi De Pata
Bus Dhadakta Hain Dhak Dhak Dhak Dhak