Jab Bhi Tera Sanam Ham Yoon Intezaar Karte Hain
Har Ghadi Mein Zinda Hote Ham Har Ghadi Mein Marte Hain.
In Nazron Ko To Pehle Bhi Hai Ho Chuka Ye Dhokha
Fir Khwaab Tum Na Niklo Chooney Se Ham Darte Hain.
Teri Chaahat Mein Jag Tha Choda Ab Mehkashi Bhi Chhooti
Sab Jaam Mehfilon Ke‚  Ashkon Se Ham Bharte Hain.
Hai Chaand Bhi Bewafaa Raaton Ko Dagaa Deta
Ek Ham Hi Roz Yaaron Shab Ko Sahar Karte Hain.
Har Pal Mein Jaise Jaanam Beeti Ho Umr Saari
Kuch Is Tarah Se Lamhien Teri Furkat Ke Guzarte Hain.
Zaroorat Nahin Hai Humko Dair-O-Haram Jaane Ki
Suna Teri Ik Nazar Se Sau Naseeb Sanvarte Hain.
Poocho Nahin Tum Hamse Adaaein Unki ‘Khayal’
Wo Nazaron Ke Raaste Se Seene Main Utarte Hain.