Jab Bhi Aaya Mere Honthon Pe Tera Naam Aaya
Zikr Tera Hi Zubaan Pe Hai Subah Shaam Aaya
Mere Dil Me Hain Nihan Teri Hi Tasweer Sanam
Jalwa Tera Hi Mere Dil Ke Lab-E-Baam Aaya
Teri Ye Teer-E-Nazar Jab Bhi Idher Se Guzri
Zarre Zarre Se Tera Mujhko Hi Salaam Aaya
Maanind Rind Hu Magar Mai Ka Talabgaar Nahi
Pita Hu Tere Tabassum Ka Jab Bhi Jaaam Aaya
Hai Marz-E-Ishk Mujhe Aur Tera Diwana Hu Main
Tere Dar Pe Mera Ab Ye Dil-E-Nakaam Aaya
Aatish-E-Deed Me Hai Sab Kuch Jalane Ke Liye
Tera Aashik Teri Khatir Ho Ke Badnaam Aaya
Apne To Dunya Me Koi Bhi Nahin Kaam Aaya
Kaam Aaya To Ai ‘Sam’ Bus Ishk Hi Kaam Aaya