Ik Waqt Tha Ke Mujhsay Milnay Ki Umeed
Baraa Daiti Thi Teray Dil Ki Darkan
Pighal Jaati Thi Tum Meri Baahon Main Aakar
Bun Jaati Thi Bus Mera Unwaan-E-Sukhan
Teri Aankhon Main Umar Umar Aataa Tha Pyaar
Meray Liyay Tha Teray Jism-O-Jaan Ka Saraa Khumaar
Meri Furqat Guzarti Thi Bun Kay Khizaan
Meri Aamad Hoti Thi Teray Liyay Paigham-E-Bahaar
Tum K Jaisay Thi Shiddat-E-Muhabbat Ki Saraapaa Tasveer
K Jaisay Rati Aur Ganga Ki Mil Kar Likhi Huee Tehreer
Kehti Thi K Main Hoon Tumhaari Zindagi Ka Haasil
Kehti Thi K Main Tumhaary Khwaabon Ki Taabeer
Aur Sach Kahun K Ab Galay Lagti Ho Kuch Aisay
K Jaisay Ho Faqt Beetay Dinon Ka Lihaaz
Bataao K Yeh Hai Mehaz Meri Nighaah Ka Feraiyb
Ya Ki Hai Tark-E-Muhabbat Ka Aghaaz?
Kyunki Yeh Diwaanaa Tujhsay Paihum Israar Karay
Sirf Isliyay Phir Milnay Ka Tu Qaraar Karay
Aur Main Udaas Na Ho Jaon Kahin
Bus Isliyay Tu Ab Mujhsay Izhaar-E-Pyaar Karay
Badhawaas Sa “Sagar” Yeh Tak Rahaa
Ki Kaisay Taa_luk Takalluf Main Badal Rahaa