Ik Arzu-E-Dil-E-Nadan Hamari Ke Tera Dedaar Ho Jaye
Teri Nigaah-E-Tiir-E-Masti Mere Jigar Ke Paar Ho Jaye
Zastuu Zahen Mein Yahi Ke Barf Ke Manid Sard Seena
Liipat Ke Tere Seene Se Bas Jalta Hua Angaar Ho Jaye
Chehre Pe Tere Fiala Hai Sare Jahaan Ka Noor Humdum
Ik Nazar Dekh Le Falak Ka Chand Bhi Sharamsar Ho Jaye
Sang-E-Marmar Sa Tarasha Badan, Kare Jeena Mohal
Jab Bhi Khayal Karu Tere Husn Ka Dil Beqaraar Ho Jaye
Toubha, Yeh Tere Roop Ne Macha Rakhi Hai Tabaaii Ke
Mehfil Ka Har Numaiinda Tujhe Dekh Kabardaar Ho Jaye
Main Karu Bhi Tere Husn Ka Nazara To Kaseey Karu Ke
Galon Ka Til Bhi Jasey Tere Husn Ka Peheredaar Ho Jaye
Kyun Kar Hum Maikhane Mein Ja Kar Jaam Uthey, Jab
Paimana Bhii Terii Nazaroon Ke Aage Beqaar Ho Jaye
Teri Mast Nigaahi Ka Chaya Hai Nahsa Kucch Iss Kadar
Insaan To Insaan, Wahiz Bhi Dekh Ke Maikhwar Ho Jaye
Duayein Har Shab Karta Hoon Allaah See Terii Deed Ka
Kahi Umr Bhar Ka Hi Na Mere Liiye Yeh Intzaar Ho Jaye