Ibtedaa Ham Karen Her Baar Zaruri To Nahii‚  [Ibtedaa = Beginning]
Tumhari Baat Munaasib Ho Zaruri To Nahii‚  [Munaasib = Valid]
Imtehaan Lete Hamara To Sabak Padh Lete‚  [Sabak = Lesson]
Imtehaan Leke Sabak Dena Zaruri To Nahii
Be-Sabab Baat Badhate Ho Chalo So Jaao‚  [Be-Sabab = Unreasonably]
Raat Ke Baad Subaha Na Ho Zaruri To Nahii
Kabhi Hame Bhi Sawaalon Ka Ittefaq To Do‚  [Ittefaq = Chance]
Hameshaa Ham Hi Jawaabon Me Zaruri To Nahii
Dil Mein Jazbaa Na Ho Phir Bhi Yun Muskurate Rahen‚  [Jazbaa = Emotion]
Aisa Ho Sakta Hai Lekin Ye Zaruri To Nahii
Kisi Thokar Ne Sikhaya Tha Ke Bachna Kaise
Sabko Thokar Ye Sikhaye Ye Zaruri To Nahii
Aaj Ki Shaam Pareshaan Hai To Wo Hanste Hain
Har Ek Shaam Pe Shikan Ho Zaruri To Nahii‚  [Shikan = Wrinkle]