Diwaana Deedar Ka Teri, Tera Ghayal Yahi.N Per He
Yahaa.N Aaya He Tu Jab Se Tera Saayal Yahi.N Per He
Kahi.N Jaata Nahi.N Uth Ker Tere Der Per Hi Betha He
Tabiyat Gham Ke Mare Ki Faqat Mayal Yahi.N Per He
Tere Der Per Khara He Yaas-O-Hasrat Ki Rida Orhe
Ye Ghayal, Ho Na Ho Hamdam, Hua Ghayal Yahi.N Per He
Yahi.N Tapka He Aankhoo.N Se Laho Ho Ker Jigar Uska
Tumhare Husn Ka Jaadoo Hua Zayal Yahi.N Per He
Paristish Ki Tere Jis Ne Sada Jis Ne Tujhe Pooja
Wo Tera Maanne Walaa Tera Qayal Yahi.N Per He