Bahut Kam Hi Hota Hai Par Jab Bhi Hota Hai To Kuch Yoon Hota Hai
Naam Mera Tere Hothon Par Ho Aur Dil Mera Dhadakna Chod De
Naam Tera Mere Hothon Par Hon Aur Lab Tere Khil Uthen
Ye Kya Hai Ye Meri Samajh Ke Bahar Hai Par Kisine Bahot Sahi Kahi
Bunty Ki Babli Aur Babli Ka Bunty Bunty Ki Babli Hui
Paagal Pan Kaho Ise Ya Mera Deewana Pan
Tujhse Milne Ko Taras Gaya Hoon Tere Intezaar Mein Baras Gaya Hoon
Tere Khayalon Mein Khudse Bahot Door Aur Tere Bahot Paas Gaya Hoon
Thodi Nayi Hai To Kuch Purani Bhi Par Meri Kahani Ab Teri Hui
Bunty Ki Babli Aur Babli Ka Bunty Bunty Ki Babli Hui
Tum Kehte Ho Jao Aur ‘Gar Main Jaoon To Na Jaane Ko Kehte Ho
Ye Bhi Kehte Ho Ke Haan ‘Na’ Karna Aur ‘Na’ Karoon To Rooth Bhi Jaate Ho
Ab To Koi Jaaye Kehde Saari Duniya Se
Chahe Jo Karle Sonali Rani Ya Gid-Gidaye Julie
Bunty Ki Babli Aur Babli Ka Bunty Bunty Ki Babli Hui