Apnay Mazi Ke Tasaveer Se Harasa Hun Main
Apnay Guzray Hue Ayam Se Nafrat Hai Mujay
Apni Bekar Tamanao Par Shrminda Hun Main
Apni Basood Umido Pay Nidamat Hai Mujay
Meray Mazi Ko Andheray May Duba Rehnay Do
Mera Mazi Meri Zilat K Siwa Kuch Bhi Nahi
Mujse Ab Meri Mohabbat K Fasanay Na Kaho
Muj Ko Kahjnay Do K Menay Unhay Chaha Hi Nahi
Or Ho Mast Nigahay Jo Mujay Bhol Gai
Menay In Mas Nigha Ho Ko Srapa Bhi Nahi
Mujko Kahnay Do K May Aaj Bhi Jii Sakta Hoo
Isq Nakam Sahi Zindagi Nakam Nahi
Unko Apnanay Ki Khawash Or Unhay Panay Ki Talab
May Jo Chahon Tao Mujay Or Bhi Mil Saktay Hai
Wo Kanwal Jin Ko Kbhi Un K Liya Khilna Tha
Un Ki Nazro Se Bohat Dor Bhi Khil Saktay Hai