Aarzoo Dil Mein Hai Kya, Kya Kahoon
Gar Waqt Tham Jaaye To Bas Tumhein Dekhtaa Rahoon
Tumhaare Aks Ko Apne Wajood Mein Aise Shaamil Kar Loon
Jab Bhi Aankhein Band Karoon, Bas Tumhein Dekhaa Karoon
Nigaahon Ke Darmyaan Yeh Khaamosh Silsilay Rahein
Hothon Pe Tabassum Ke Phool Aise Hi Khiley Rahein
Aur In Phoolon Ki Khushboo Se Mai Youn Hi Mehka Karoon
Tumhaare Aks Ko Apne Wajood Mein Aise Shaamil Kar Loon
Jab Bhi Aankhein Band Karoon, Bas Tumhein Dekhaa Karoon
Ungliyaan Aanchal Sambhaale Youn Hi Ulajhti Rahein
Hawaaon Ko Choomkar Zulfein Aise Hi Sulajhti Rahein
Aise Hi Mai Bhi Ulajh Kar Suljhaa Karoon
Tumhaare Aks Ko Apne Wajood Mein Aise Shaamil Kar Loon
Jab Bhi Aankhein Band Karoon, Bas Tumhein Dekhaa Karoon
Dhadkano Ki Beqraari Aise Hi Rukh Par Bikharti Rahe
Rukhsaar Par Chandni Pal Pal Nikharti Rahe
Aarzoo Hai Ki Is Roshni Se Mai Bhi Raushan Rahoon