daman pe khun o ashk sajane ke liye hai
andaz ye bhi ishq jatane ke liye hai
mauje to humsafar hai,ke maujo.n ka khauf kya
har mauj kinare ko jagane ke liye hai
kiston me jaise hota hai deedar chand ka
betaab vo naqab uthane ke liye hai
ye poochti hai dil ki jalan humse baarhaa
kya aag-e-askh sirf jalane ke liye hai?
betaabi-e- visaal aur shart-e-sabr bhi!!
ye dil fareb rasm nibhane ke liye hai
ghut jaye na ye dum or_rah jaye faisla
kya sach ke liye hai,kya fasane ke liye hai
mujko yakii hai, kaha hai-tune raqeeb se
ke baat ye bus ‘zidd’ ko batane ke liye hai
Avinash Kundan 9910089467