Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono
Na mai tum se ummed rakhon dil nawazi ki
Na tum dekho mujhe galat andaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan badhe teri baton se
Na zaaher ho teri kashmaksh ka raaz ankhon se
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai pesh qadmi se
Mujhe bhi log kahete hai ke ye jalwe paraye hain
Mere humrah bhi ruswaien hain meri marzi ki
Tumhare sath bhi guzri huwi raton ke saye hain
Mere sath bhi guzre huwe zaqmon ke saye hain
Ta’arrfu rog banjaye to uska bholna bahetar
Ta’alluq boj ban jaye to uska tudna bahetar
Wo afsana jise anjam tak lana na mumkin ho
Use ek qobsurat mod dekar chodna bahetar
Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono…
Poet : Saher Loudhiyanwi
Selected by : Asrar ahmed danish