Zindagi Kuch To Baki Thi Abhi
Kaun Jaaney Kisey Ki Pukar Labon Par Baki Thi Kabhi
Koyi To Raah Mein Humey Bhi Pukarta Ho Kabhi
Kabhi Yuun Hi Yaad Karta Ho Kabhi
Shayad Ek Aas Baaki Thi Abhi

Aainey Mein Aaj Bhi Kuch Nazer Aata Hay Humey
Kyon Ek Chehra Har Dum Satata Hay Humey
Kuch To Baat Hogey Jo Aaj Bhi Khyalon Mein Aata Hay Wahi
Har Raah Mein Kyon Ek Awaz Pukarti Lagti Hay Humey
Zindagi Sukon Paaney Ko Tarasti Rahi Hay Sada
Kissey Kay Jaaney Ki Chot Kyon Rulatey Rahi Hay Sada
Adab Zindagi Ka Samagh Na Payee Thi Kabhi
Kyon Tere Khamoshian Tadpate Rahi Hain Sada
Sawer Jaaye Muqadar Hamara Bhi
Ek Awaz Dil Se Jo Laga De Tu Kabhi
Inteezar Kahin Le Doobey Na Humey
Zindagi Kuch To Hamare Bhi Baki Hay Abhi
Ek Sukun Zindagi Mein Aana Baki Hay Abhi
Muqadar Isse Bhi Bura Kya Hoga Mera
Tuney Pukara Bhi Aur Main Aa Bhi Na Saki
Zindagi Ek Baat Labon Par Baki Thi Abhi
Tootey Huay Sheeshon Ka Judna Baki Hay Abhi
Ek Sukun Zindagi Mein Aana Baki Hay Abhi