Zindagi Ke Mod Par Yeh Kya Waqt Aaya
Na Hai Koi Aapna Na Koi Paraaya
Mujhe Jo Bulati Hai Shayar Yeh Duniya
Dil Ka Dard Logo Zubaan Ne Chupaya

Aab Bhi Yaad Mujhko Tere Sang Beeti
Woh Baatein Woh Kisse Raat Ka Sard Saaya
The Tum Bhi Jo Naadan Meri Aashiqui Mein
Teri Berukhi Par Pyar Humko Tha Aaya
Woh Sharmana Karne Aankh Se Phir Ishare
Woh Suraj Woh Chanda Chandni Woh Sitare
Woh Hasna Palatna Tera Ladhkhadana
Woh ‘Pagal’ Bulakar Tera Bhag Jaana
Nahin Hai Yeh Rishta Bhul Jaun To Kaise
Mere Liye To Hai Zindagi Ka Fasaana
Woh Ek Mod Aaya Tum Humse Juda The
Kaho Kya Wahi Tum The? Jo Aapne Khuda The
Khudaya Bata Kya Hai Teri Khudaayi
Kisi Ne Jafaa Ki, Kisi Ne Nibhaayi
Hum Aabh Bhi Waahi Hai Nahin Hum Kya Waise
Bata Kyon Hai Badle Yeh Armaan Kaise
Nahin Bemurawat Hum To Beilteja
Humhari Gunahon Ki Zindagi Hi Saaza Hai
Zindagi Bhi To Kaisi Jo Hardum Paraayi
Din Aur Raat Humne Hai Markar Bitaayi
Aaj Pucha Jo Tune To Phir Yaad Aaya
Kya Ghum Tha Kispar Hai Aansun Bahaya
Hai Sach Hoon Mein Shayar Yeh Mera Afsaana
Jo Tha Is Zubaan Pe Tha Likhkar Bataana
Mujhe Jo Bulati Hai Shayar Yeh Duniya
Dil Ka Dard Logo Zubaan Ne Chupaya
Hai Sach Hoon Mein Shayar Yeh Mera Afsaana
Jo Tha Is Zubaan Pe Tha Likhkar Bataana