Zindagi Ke Hosh SambhaleTo Aapne Aap Se Pucha,
Ki Yeh Kya Bala Hai Aur Kyou Nahi Aisa Dooja?
Tab Se Hi Aaj Tak Main Sooraj Se Poochta Hu,
Ki Aap Hi‚  Jag Ko Roshni Kyou Dikhate Hain,
Aur Phir Kyou Aap Kuch Der Chup Jate Hain?
Kyou Dharti Par Bhi Aapka Raaj Hai?
Jab Ki Aap Dharti Ko Chu Bhi NahinPaate Hain!
Is Par Sooraj Muskurakar Bola,
Ki Dharti Hai Shabnam Aur Main Uska Shola!
Hifazat Tumhari Main Aise Karta Huin,
Ki Chand Ko Bhi Wafai Ka Paigam Main Hi Bharta Hoo!
Kuch Der Hi Sahi Par Yeh Usool Hai Mera,
Ki Bechara Chaand Na Reh Jaye Bilkul Akela!
Chand Ko Bhi Hak Hai Ki Aapni Chaandni Woh Dikhaye,
Aur Dharti Ke Aalam Pe Aapne Daag Woh Chipaye!
Tabhi Sooraj Aur Main Tanhayee Mein Milte Hain,
Ki Kabhi Woh Bhi Bechara Bhool Jaye Savera.