Zindagi Jab Tum Mere Paas Ho Kitni Udaas Ho
Aur Us Paar Jate Hi Tum Kitni Haseen Aur Chulbuli Nazar Aati Ho
Mere Paas Aansoo Bahati Ho Aur Us Paar
Khilti Kali Ban Jati Ho Is Paar Tum Kitni
Bebas laachar Mayoos Nazar Aati Ho
Aur Us Paar Jate Hi Tum Chanchal Shokh Haseena Me Badal Jati Ho
Mathai Par Shikan Liye Is Paar Tum Sehmi-Sehmi Si Nazar Aati Ho
Band Panchi Ki Tareh Chatpatati Ho/pankh Phar-Pharati Ho
Aur Us Paar Apne Inhi Pankhon Se Zamee Naapti Nazar Aati Ho
Yahan Tumhare Khandhon Par Zimmaidari Nazar Aati Hai
Aur Wahan Bebaak Hawa Ki Tareh Tum Sab Kuch Apne Saath Uda Le Jaatim Ho
Zindagi Mere Paas Tumhe Daine Ke Liye
Na To Motiyon Jaise Sapne Hai Na Sahil Par Bane Rait Ke Gharonde
Yahan Tumhe Aansuon Ki Bayaar Ke Alaawa Kuch Na Mil Sakega
Agar Kuch Kar Sako To Muskurahat Ki Aandhi Na Sahi
Khushion Ke Do-Char Thapede Hi La Do Idhar
Zeevan Ki Jo Rasdhar Beh Rahi Hai Udhar
Uski Do Boonde Mujhe Bhi Pila Do
Idhar Is Tapte Sehra Mai Barsaat Na Sahi
Pani Ki Do-Char Phuhaar Hi Gira Do Idhar Agar Kuch Bhi Na Kar Sako To
Is Tadapte Jismke Bheetar Ki Meri Ruh Ko Aazaad Kar Do
Haan-Mujhe Intzaar Hai Tumhare Kuch Aisa Hi Karne Ka